Chinta ek bimari hai hame chinta nahi Karna chahiye

 


Hame chinta ka sikar hone ki jarurat nahi hai. Hame sochna chahiye ki chinta kya hai?  Yah ak hanikarak aur nakaratmak mansik aadat hai. Ham chinta ki aadat ke sath paida nahi huye hain. Hamne ise seekha hai aur sikhi hui koi bhi cheej ya aadat se ko badal sakte hain. Akramak aur sidhi karyawahi se hi chinta ko bahar nikala ja sakta. Isiliye chinta par hamla karne ka sahi sirf ak hi hai aur wah hai abhi. Hame tatkal chinta karne ki aadat ko chhodna chahiye. Hame chinta ki samasya ko bahot gambhirta se nahi lena chahiye. Manovisleshak ke anusar "chinta aadhunik yug ka ak bahot bada plage hai".

Ak prasidh manovaigyanik ka kahna hai dar insan ke vyaktitwa ko vikhandit karne wala sabse bada prabal satru hai. Doctors ke mutabik "chinta sabhi manviye bimariyon me sabse sukshm aur vinashkari hai". Kuchh doctors ye bhi batate hain ki aaj hajaron log isiliye bhi bimar hain Kyoki unhone apne dimag me bahot sari chintaon ko bandh banakar rakha hai. Chinta ke karan kast uth rahe log apni chintaon ko bahar nahi nikal pate hain jis wajah se ye unke vyaktitwa ke andar chali jati hai aur kai tarah ki bimariyon me badal jati hai.

Ak clinic staff ne chalis varsha ki aausat aayu ke 176 americi executive ka serve kiya usme yah pata chala ki aadhe high blood pressure, hriday rog aur alsar ki sikayat thi. Yah pramukh tha ki har prakaran me unki bimari me chinta pramukh karan thi. In Baton se yah niskarsh nikala ja sakta hai ki chinta karne wala utna nahi ji pata jitna nischintt vyakti ji sakta hai. Jisne chinta mukt jeevan jina sikh liya hai usne bimariyon se chhutkara bhi pa liya hai. Isiliye hame chinta nahi Karna chahiye Khush rahna chahiye aur sakaratmak sochna chahiye.
Previous
Next Post »

Friends if you have any questions please let me know? ConversionConversion EmoticonEmoticon

कोरोना जैसी मुश्किल भरी परिस्थिति में ईश्वर हम सबको लड़ने का साहस प्रदान करे

कोरोना जैसी मुश्किल भरी परिस्थिति में ईश्वर हम सबको लड़ने का साहस  प्रदान करे   इन दिनों हम सभी और हमारे आसपास के अनेकों लोग कई प्रकार की समस...