Sakaratmak sonch

 

Agar aap sakaratmak tarike se Sochte hain to aap apne jeevan me sakaratmak saktiyon ko sakriye kar dege jisse apko sakaratmak parinam milne lagege. Sakaratmak vichar apke aapspas aesa mahol bana dete hain jisse anukool paristhitiyan banne lagti hai. Iske vipreet agar aap nakaratmak vichar sochenge, to apne aapspas aesi paristhitiyan bana lete hain jo apke pratikool hoti hain jinke parinam nakaratmak hote hain.


Apni paristhitiyon ko badalne ke liye sabse pahle apko alag tarah se sochna suru karna chahiye. Hath par hath dharkar asantoshjanak paristhitiyon ko swavikar na Kare, balki apne mastisk me aadarsh paristhitiyon ki tasvir banaye. Is tasvir ko banaye rakhe, ise pure vistar se viksit Kare, isme visvas Kare, iske bare me prathna Kare, is par kam Kare aur aap ise hakikat me usi anuroop badal denge.


Aap nakaratmak tarike yani asafalta aur dukh dilanewale tarike se soch sakte hain, parantu aap sakaratmak tarike se yani safalta aur sukh dilane wale tarike se bhi soch sakte hain. Jis duniya me aap rahte hain vah duniya mool roop se bahri sthitiyon  ya paristhitiyon se nirdharit nahi hoti, balki apke dimag me aadtan rahne wale vicharon se nirdharit hoti hain.


Ak prasidh manovaigyanik kahte hain, " manav swabhaw me ak gahri pravriti hai ki insan vilkul waisa hi ban jata hai jaisa wo apne bare me hamesa Kalpna karta hai".

Isiliye hame hamesa sakaratmak soch apnani chahiye.

Previous
Next Post »

Friends if you have any questions please let me know? ConversionConversion EmoticonEmoticon

कोरोना जैसी मुश्किल भरी परिस्थिति में ईश्वर हम सबको लड़ने का साहस प्रदान करे

कोरोना जैसी मुश्किल भरी परिस्थिति में ईश्वर हम सबको लड़ने का साहस  प्रदान करे   इन दिनों हम सभी और हमारे आसपास के अनेकों लोग कई प्रकार की समस...