Samay Kitni jaldi gujar jata hai. Aaj ham jab purane beete huye lamhon ko yad karte hain to kitna achha lagta. Jab ham chhote the bachpan me maa pita ka hamare prati lagav unka hamare prati khyal rakhna sab kitna achha lagta hai. Aaj un palo ko yad karke aesa lagta hai ki Kash wo pal dubara aa jata. Jab ham chhote the to school jana padhna likhna khelna kudna sab kitna suhana lagta hai aaj ye sab soch kar. Aaj bas yahi yad hai ki samay Kitni jaldi beet gaya ab hamare upar jimmedariya aane lagi in sabse se pare bachpan ka aanand kuchh alag hi hota hai na koi jimmedari na koi chinta.
Insan aaj bhag daud bhari jindgi me chain ki aadat sans badi muskil se le pata hai Kyoki wah apni jimmedariyon ko nibhane me laga rahta hai. Samay bahot balwan hota hai. Samay ka pahiya kabhi pichhe mudkar nahi dekhta.
Friends if you have any questions please let me know? ConversionConversion EmoticonEmoticon