Jindgi me koi bhi rah aasan nahi hoti
Koi bhi chah kismat ki bat nahi hoti
Hara hua insan jeet kar bhi har jata hai
Har na manne wala insan harte harte bhi jeet jata hai
Dosto aaj ham jis visay par charcha kar rahe hain wo hai dridh nishchay. Waise dekha jaye to aaj ki is pratiyogita bhari jindgi me kuchh bhi pana aasan nahi. Hame apne lakshya tak pahuchne ke liye kadi se kadi parishram karni padti hai. Apne lakshya ko pane ke liye na jane Kitni bar logo ko alag alag kathinaiyon aur musibaton ka samna karna padta hai. Isiliye hame hamare lakshya ke liye samarpit hona chahiye aur fir usse pare nahi jana chahiye.
Agar ham example dekhe to 'Colonel Harland Sanders' jo KFC ke nirmata hai unhe apne lakshya ko pane ke liye 1009 bar har ka samna karna pada uske bad unhe safalta mili aaj we duniya bhar me apne KFC products ke liye jane hain. Isi tarah hame apne lakshya ke liye satat mehnat karte rahna chahiye.
Friends if you have any questions please let me know? ConversionConversion EmoticonEmoticon