Jeevan me sudhar ke liye kuchh batein.



Bahot dur tak jana padta hai sirf ye janne ke liye ki najdik kaun hai.


Waqt aapka hai chaho to sona bana lo ya chaho to sone me gujar do.


Waqt halat dekhkar badalta hai aur apne mauka dekhkar.


Bura karne ka vichar aaye to kal pe talo 
Achchha karne ka  vichar aaye to aaj hi kar dalo.



Peeth hamesa majboot rakhni chahiye 
Kyoki sabasi Aur dhokha dono peeth pichhe se hi milta hai. 

Sachche insan ko jhuthe insan se Aksar Jada safai Deni padti hai.

Sach ko tameej hi nahi bat ki jhuth dekho kitna meetha bolta hai.

Parkho to koi apna nahi samjho to koi paraya nahi.

Kai bar man karta hai har man lu lekin 
Bad me yad aata hai abhi to Mujhe bahot logo ko galat sabit Karna hai.

Ye wo daur jaha masumiyat ko bewkufi kaha jata hai.

Apni umra Aur paise par kabhi ghamand mat Karna Kyuki jo cheeje gini ja sake wo yakinan khatma Ho jati hain.

Meri manjilein mere karib hain iska Mujhe ahsas hai, ghamand nahi Mujhe apne iradon par ye meri sonch aur haunsle ka viswas hai.

Aadhi jindgi gujar di hamne padhte padhte Aur sikha kya ek dusre ko nicha dikhana. 

Jeevan me itna to sangharsh kar lena chahiye ki apne bachche ka atma viswas badhane ke liye dusron ka udahran na dena pade.

Dusron ke bure Waqt pe hasne walo 
Waqt jab bhi sikar karta hai to har disha se war karta hai.

Uda deti hain needein kuchh jimmedariya ghar ki, rat me jagne wala har sakhs aashik nahi hota.

Ummeed hame kabhi nahi chhodkar jati bas ham hi use chhod dete hain.
Previous
Next Post »

Friends if you have any questions please let me know? ConversionConversion EmoticonEmoticon

कोरोना जैसी मुश्किल भरी परिस्थिति में ईश्वर हम सबको लड़ने का साहस प्रदान करे

कोरोना जैसी मुश्किल भरी परिस्थिति में ईश्वर हम सबको लड़ने का साहस  प्रदान करे   इन दिनों हम सभी और हमारे आसपास के अनेकों लोग कई प्रकार की समस...