Corona bimari se bachav ke ek upay me ayurvedic kadha ko upyog.


Dosto aaj ham bat karne ja rahe hain Ayurvedic KADHA se sambandhit kuchh khas bate.

Jaisa ham sab aaj dekh rahe hain ki Corona mahamari ka prakop kitna badh gaya hai aur din pratidin badhte hi ja raha hai.
Aaj ham kadhe ke fayde ki bate karne ja rahe hain. Kadha rog pratirodhak sakti badhane me madad karta hai. Bharat ke aayushi mantralay ne bhi corona mahamari ke bachav ke upayo me ayurvedic kadha ko bhi ek upay bataya hai. Kadha apne anti bacterial aur anti inflammatory guno ki wajah se na keval immune system strong karta hai balki anya bimariyo me bhi asarkarak hota hai. 

Kadha banane ke liye tulsi (holy basil),Kali mirch (black paper), dalchini (cinnamon), sonth (dry gingers), gud (jaggery), laung (cloves) ko milaya ja sakta hai. Aayush mantralay dwara di gai guidelines ke anusar isme swadanusar kismis aur nimbbo (lemon)  ka ras bhi milane ki salah di gai hai in sabhi ausadhiyon ko milakar banaya gaya kadha bahot hi faydakarak hota hai. 



Previous
Next Post »

Friends if you have any questions please let me know? ConversionConversion EmoticonEmoticon

कोरोना जैसी मुश्किल भरी परिस्थिति में ईश्वर हम सबको लड़ने का साहस प्रदान करे

कोरोना जैसी मुश्किल भरी परिस्थिति में ईश्वर हम सबको लड़ने का साहस  प्रदान करे   इन दिनों हम सभी और हमारे आसपास के अनेकों लोग कई प्रकार की समस...